Thursday, October 12, 2017 | By: The Write Thing.

Aisa Kya

Aisa kya rula diya kisi ne ki
ab doston ki kami nazar aane lage
Aisa kya keh diya kisi ne ki
ab baatein tasveerein si banne lage
Aisa kya soch liya kisi ne ki
ab zindagi doosron ki nazar se dikhne lage
Aisa kya hasa diya kisi ne ki
ab khushi mein bhi aansoo aane lage
Aisa kya bhula diya kisi ne ki
ab maut mein hi dilaasa mile
Aisa kya chu liya kisi ne ki
ab kaanton mein bhi aaraam mile
Aisa kya pyaar kar liya kisi ne ki
ab doori se rishta nibhana pade
Aisa kya pukaar liya kisi ne ki
ab khud se zyaada naam mein jaan aane lage
Aisa kya daraa diya kisi ne ki
ab sachchai se bhi pair kaapne lage
Aisa kya samajh liya kisi ne ki
ab khud ko badalne ki zaroorat padne lage
Aisa kya sikha diya kisine ki
Ab zindagi sambhalne lage
Aisa kya sula diya kisine ki
ab majboori mein bhi aankhein na khule
Aisa kya likh diya kisi ne ki
ab shabdon mein poori zindagi nazar aane lage